Archive for January, 2008

kab mili thi kahan bichri thi humay yaad nahi

kab mili thi kahan bichri thi humay yaad nahi,
zindagi tujh ko tu bus khuwab main dekha humnay,
ajj ADA aur sunain bhi tu kiya haal apna,
umar ka lamba safar tay kiya tanha humnay!!

 

Wafaon main meri itna aser to aye,
Jisay doondhti hai nazar wo nazar to aye,

Hum aa jaen ge palak japakne se pehle,
Aap ne yad kya ye khabr to aye…!!

 

Bichra to dard rooh ki gahraiyun main tha
Ho k juda bhi tu meri tanhaiyun main tha

 

ROTAH KAR TUM MUJHEY BOHLANEY LAGEY..
ITNEY DOOR HOWEY KAY BOHAT YAAD AANEY LAGEY…
KISEY BHOOLA DOON TUMHAIN AIK PAL MAIN
JAB TUMHAIN PANEY MAIN ZAMANEY LAGEY..

 

Mangta kya khuda se main tere liye
tujhme toa koi kami na thi
Har ashq piya tujhe manane ke liye
par teri mahfil main shayad apno ki kami na thi

Comments

ham se mohabbato ki numaish na ho saki

ham se mohabbato ki numaish na ho saki
bs itna jante hein tumhe chahte hein ham

 

aey maut tu aake kissa tammaam karde
hum zindagi k haathon kishto mein mar rahe hain….

 

Mout ka nam he dunya main bara hai warna
Zindagi mai bhi bohat aesey muqam atey hain.

 

Tamam sheher tha uskay janazay main shareek,
Woh shaks jo tanhaiyun kay khauf say mar gaya!

 

Hamare zakhmo ki vajhah bhi wo hai..

Hamare zakhmo ki Dava bhi wo hai…

Wo namak zakmo pe lagaye to kya hua…

Mohabbat karne ki wazah bhi wo hai…

 

Comments

« Previous entries