Archive for Urdu Shayri

bahut milaa na milaa zindagii se Gam kyaa hai

bahut milaa na milaa zindagii se Gam kyaa hai
mataa-e-dard baham hai to besh-o-kam kyaa hai

 

abb aastin mein kahan palte hain saap
dost banke mere saath chalte hain saap

 

chand ummedein chand fasane sab adhoore hi rahe
niyat-e-mohabbat to paak thi, aadmi wo magar achcha bhi nahi

 

yahi sochakar saagar main ishq nahi karta
nibha na saka to phir bewafa kehlaonga

 

ho jaaenge badnaam unki mehfil mein saagar
shart ye hai,unpe koi ungli na uthaye

 

bhari mehfil main humein kuch is kadar yaad aayi,
dil roya or unse judaai ghazal banke juban per aayi….

 


usne kuch humse maanga bhi agar to judai maangi
aur ek hum hai bas,inkaar karna na aaya

 

takdeer banane waale tune kami na ki
ab kisko kya mila,kismat ki baat hai

 

kuch hayat-e-ajoobe ajeeb hote hain
ghame-firaq bhi chara-e-dil hote hain

 

mile the jo kabhi meherbaan hoke mujhse
ab mere naam se bhi naagawar hote hain

Comments

wafa aur bewafa ke maine badal se gaye lagte hai,

wafa aur bewafa ke maine badal se gaye lagte hai,
log mohhbat bhi abb waqt gujarne ke liye karte hai.

 

Bewafa jo tum ho gaye toh koi shikwa bhi nahi
mitt gayi ho ranjishein saari kuch aisa bhi nahi

 

do chaar baar hum jo kabhi muskura liye
saare jahaan ne haath mein pathhar utha liye

 

Na-Khuda Humko Duboote to koi baat na thi
Hum to doobe hain khudao pe bharosa karke

 

Jabse is shahar mein sheeshe ka ghar banaya hai
humko her haath mein pathar hi najar aaya hai

 

Yun to gujar raha hai har ek pal khusi ke saath
phir bhi koi kami si hai kuin jindgi ke saath

 

hai ag is dil me kuch aisi tadap hai
na dawa kaam aati hai na dua ka aasar hai

 

aie yaar bhale hi tera saaya mere saaye se hokar gujar jaye..
main wo pyar karu tujhse jo MERI ROOH ME UTAR JAYE

Comments

« Previous entries